kehne ko to bahut kuch hai...


kehne ko to bahut kuch hai 
par kya karu kehkar, 
sunne wale hain to dher-saare, 
par fir bhi ‘sunne’ wala koi nahi. 

 aajkal to labon se shabdh nikalne se pehle hi -
apni raay banaane aur sunaane ke liye log tayyar ho jaate hain. 
gar batao kisiko kaise lagayi hai chot kisine -
to ‘over-sensitive’ kehnewale kayii mahanubhavi saamne ho jaate hain. 

 kha kar dhokha kisi se, 
gar batao kisi ko -
to apne vakya ko purnaviraam lagane ke pehle hi - 
“you are so naive” ka label maathe pe lag jaata hai. 

gar aaye kabhi ghussa kisi pe, 
batane ki gar karo kabhi jurrat - 
“usne kiya kuch aisa bartaav, ke mujhe ghussa aaya” 
to saamne wala ‘hmmm’ keh kar chalaa jaata hai,
aur fir jaakar dusron ke kaanon mein kehta hai - 
“zaraa bach ke rehna uss se, useh ghussa bahut jaldi aata hai.” 

 kehne ko to bahut kuch hai 
par chodo, chup hi rehti hu main 
samajhnewala koi ho na ho, 
khud ke liye khud hi kaafi hu main.



Return to Main Page