pehli nazar



aankhon se hokar dil mein utar gayi
woh nazar teri deewana banaa gayi
ek hi nazar mein maano sab haar baithi main
jaane kaise tujhse muhobbat kar baithi
tune kuch kaha nahi, na main kuch keh saki
dhadkane tej hui par kareeb se mulaqaat na ho saki
woh lamha aaya aur chala gaya saanson mein meri, teri yaad chhod gaya

fir kab miloge tum? ke fir kab dhadkane tej hongi?
paas bhi aaoge ya yun durr se hi mulaqaatein hongi?
kya saansein ghulengi kabhi saanson mein? kya kabhi baahon mein baahein hongi?
ya yun hi aakar tum chale jaaoge? har baar mann mein ek ehsaas chhod jaaoge?
khadi hu main aaj bhi, intezaar kar rahi hu
aaoge tum kabhi to, jaanti hu
aa jao, ke ab dil behelta nahi
nazrein hai ke ab tujhe dekhe bina reh sakti nahi
iss baar aaoge to tumhe jaane nahi dungi
aankhon se hokar tere dil mein utar jaaungi






Return to Main Page