aisi woh ek ladki thi...


khwabon mein jeenewali thi
labon pe muskurahat sajaanewali thi
chanchal thi, maasoom thi, har gam se anjaan thi
milti thi mujhe, muskuraati thi mujhe dekh ke
aisi woh ek ladki thi.

jheel-si aankhein thi
baadal se ghane lambe baal the
doodh-si safed kaaya thi
motiyon jaise daant the
jahaan jaati khushi failaati thi
aisi woh ek ladki thi.

mili ek din achanak se mujhe
muskurahat kahinn gum thi
jheel-si aankhein nam thi ashkon se
baadal se ghane baal bikhre se
poocha maine hua kya tha, kuch keh na saki
roti rahi bas, lagaa ke mujhe seene se
aankhon mein uske likhi saari kahani thi
aisi woh ek ladki thi.

dekha uss din aakhri baar use
khwabon mein kho gayi kahinn
labon pe aakhri muskurahat liye kho gayi kahinn
chanchal thi, maasoom thi, har gam se anjaan thi
chanchalta gayi, maasumiyat miti, zindagi gam ki parchayi thi
soyi hai aaj woh, duniya kehti uski kahani hai
aisi woh ek ladki thi.

khwabon mein jeenewali thi
labon pe muskurahat sajaanewali thi
chanchal thi, maasoom thi, har gam se anjaan thi
milti thi mujhe, muskurati thi mujhe dekh ke
aisi woh ek ladki thi.





Return to Main Page