Safar


shareer se ruh tak ka safar kitna lamba aur tanha ho sakta hai
yeh pehle kabhi socha na tha
dekh rahi thi ab tak aaine mein apne shareer ko
kabhi jhank-kar ruh mein dekha na tha

roz mit-te rehte hain iss dil ki bhatti mein
jaane kitne adhure armaan
ke ab to gin-na bhi chhod diya hai
waise to nahi aadat jhotti duniya mein rehne ki
par ab sacchai se muh mod liya ha
khoyi rehti hoon apne hi khayalon mein
khud ko khush rakhna chahti hoon
dekhti hoon jab apna aks
sochti hoon, "kya main yahi dekhna chahti hoon?"
tanha-sa yeh ek shareer jiski koi parchayi bhi nahi
dekhta hai mujhe jaise main koi aur hoon, uska aks nahi

chalti hoon raaston par, kabhi raaste chalte nazar aate hain
kabhi rehti hoon khadi ped ka aasra lekar
to kabhi baith jaati hoon haarkar
nochti rehti hoon zameen pe ugi ghaas ko
kaash aise hi zindagi se gam ko ukhad paati
aaj bhi jab sochti hoon iska koi halh nahi dhoond nahi paati

bass suffer kar rahi hoon
is shareer se ruh tak ke safar mein
mile jo bhi rehguzar 
nikal gaye aage
main dekhti reh gayi apne aap ko
zindagi ke aaine mein.





Return to Main Page