tujhe jo chhukar nikle woh fiza banna chahti hoon
tere dil mein utarkar teri dhadkan banna chahti hoon
jeene ko bahut jee liya tanha
ab tere saath jeena chahti hoon
ek sadak ki tarah hamesha tere saath chalna chahti hoon
tere mann mein utarkar machalna chahti hoon
dekh liye chup rehkar
ab cheekh cheekh kar raaz bataan chahti hoon
tujhe jo jagaaye woh subah banna chahti hoon
tujhe sulaanewali raat banna chahti hoon
tere intezaar mein bahut wawt bitaaya
ab teri baahon mein umr bitaana chahti hoon
choti choti baaton pe tujhse roothna chahti hoon
tu gar rooth jaaye to tujhe manaana chahti hoon
sapno mein bahut chaha
ab haqeeqat mein teri bannkar haq jataana chahti hoon.
also read 'Chahta Hoon' - reply to this poem
Return to Main Page