kabhi khushiyon se lehra uthi raahein
to kabhi gam ko seene se lagaakar chalte rahe
jitni bhi ji zindagi humne
koshish to yahi ki ke sacchai se jeete rahe
seekha bahut kuch...
dekha woh bhi jo shayad na dekhte to accha hota
khamoshi ko samjha kabhi
to kabhi bahut kuch sunnkar bhi kuch samajh na sake
aaye bahut log zindagi mein
aaye aur chale gaye
kuch ret ki tarah the -
haath se nikalkar bhi jo thodi reh jaati hai hatheli par
kuch log aaye jinka kuch bhi na bachaa
kho gaye kaapur ki tarah
kuch log chubhe aankhon mein tinke ki tarah
kuch log labon ki muskuraahat bankarr reh gaye
Return to Main Page