mujhe bhi zindagi mein
uss makaam pe pahuncha de aye khuda
ke jahaan se dekhu to kisi ka gam na dikhe
ke jahan pe rahu to kuch mehsus na ho
mujhe bhi zindagi mein
uss makaam oe pahuncha de aye khuda
ke jahaan jaakar main duniyadaari seekh jaun
ke jahan se lautkar main bhi auro ki tarah bann jaun
mujhe bhi zindagi mein
uss makaam pe pahuncha de aye khuda
ke jahaan se dekhu to sab dhundhla nazar aaye
ke jahan baithkar main kho jaun
mujhe bhi zindagi mein
uss makaam pe pahunch de aye khuda
ke jahan pahunchkar kahinn aur jaane ka mann ka kare
agar kho jaun main dhun mein kahi
to mujhe meri hi pehchaan na rahe
mujhe bhi zindagi mein
uss makaam oe pahuncha de aye khuda
ke jis orh bhi chalu tere hi orh bade kadam mere
duniya dekhkar ubh jau to tere ghar ka darwaza nazar aaye
Return to Main Page